Bollywood ki famous actress Vidya Balan ka kehna hai k shaadi k baad inki neend na aane ki bemaari khatam ho gai.

Indian media ko interview dete hue unhon ne aitraaf kia k unhen neend na aane or bekhwabi ki bemaari thi jan saare log neend k maze lot rahe hote thy to wo doston se raabton samet mukhtalif kaam saranjaam deti theen.

Vidya Balan ka kehna tha k shaadi k baad inki zindagi mein khushgawar tabdeeli i hai q k ab inhen neend aane lagi hai jiski waja se ab wo raat ko zyada der tak nahin jaagtin.

Wazeh rahe k Vidya Balan k elawa Amitabh Bachan or Shahrukh Khan jese mega stars bhi be-khawabi ki bemaari ka shikaar hain.

Post a Comment

 
Live News PK © 2013. All Rights Reserved. Powered by Blogger
Top